donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mohsin Naqvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dhaley gi vehshi judayun ki yeh raat akhir *
Dhaley gi vehshi judayun ki yeh raat akhir,
chalegi apne visaal e suraj ki baat akhir,

humari tashna labi ke tevar yeh keh rahey hain,
humarey paon paregi moj e firaat akhir,

voh phainkta ja raha tha shuolon mein khat kisi ke,
jala diye us ne apney nazuk se haat akhir,

bhuula diya tera reeza reeza khayal maine,
bikhar gai terey dard ki kainaat akhir,

shikast kha kar dilair dulhan ki khudkushi se,
palat gai apney apney ghar baraat akhir,

muje khud apni aana ke soney ki justajo thi,
gira diya maine apni zaat ka somnaat akhir,

yeh har qadam par jo thokarain kha raha hai 'Mohsin',
yeh shakhs khayega aap apney se maat akhir.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 389