donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mohsin Naqvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tark E muhabbat kar baiThe hum, zabt E muhabbat aur bhi hai *
Tark E muhabbat kar baiThe hum, zabt E muhabbat aur bhi hai

Ek Qyaamat  beet chuki hai,  ek Qyaamat aur bhi hai

Hum ne usi ke dard se apne saaNs ka rishta joR liya

Wana shahr me zindaa rahne ki ek surat aur bhi hai

Doobta suraj dekh ke khush rahna kis ko raas aaya

Din ka dukh sah jaane walo, raat ki wahshat aur bhi hai

Sirf rutoN ke saath badalte rahne par mauQoof nahi

Us me bach_choN jaisi zid karne ki aadat aur bhi hai

Meri bheegti palkoN par jab us ne donoN haath rakhe

Phir yeh bhed khula in ashkoN ki kuchh Qeemat aur bhi hai

Us ko gaNvakar ‘Mohsin’us ke dard ka Qarz chukaana hai

Ek aziyyat maaNd paRi  hai, ek aziyyat aur bhi hai
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 382