donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* HAM NE US KE DAR SE TOHFE PAAE KYA KYA BEMISAAL *
HAM NE US KE DAR SE TOHFE PAAE KYA KYA BEMISAAL
BEKARAAN RAATEN HAIN PAAIN DARD PAAYA LAAZAWAAL
 
BAARAHA YUN MAAT KHAAI HAI BISAAT E ZEEST PAR
HAM SAMAJH PAAE KAHAN YE WAQT KI POSHIDA CHAAL
 
RAKH DIYA US NE MASAL KE DIL KA IK IK ZAAVIYAA
RAAT US BEDARD SE HAM NE KIYA THA IK SAWAAL
 
JAANE KIN RAAHON SE HO KAR GUZRA THA YE QAAFILAA
HAI SHIKASTA HAR TAMANNA AAJ ZAKHMEE HAI KHAYAAL
 
HAM NE BADH KE JAAN SE MEHFOOZ RAKHA THA TO PHIR
ISHQ KE IS AAINE MEN AA GAYA KAISE YE BAAL
 
SAAMNE HAI PAI BA PAI BARBAADIYON KA SILSILA
JAANE KYA ANJAAM HOGA AARZOO KA AB KE SAAL
 
HAUSLA HAI TO TUJHE KYA ROK PAAEGI YE HAAR
OONCHI KAR PARWAAZ THODI AAJ ZAKHMEE PAR SAMBHAAL
 
KAB SE HAI BEENAAI KO US EK JALWE KI TALAB
DEED KI MUMTAZ US KI KOI TO SOORAT NIKAAL
******************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 309