* tujh ko maaloom kahan mujh se tahi dast yahan *
tujh ko maaloom kahan mujh se tahi dast yahan
kis tarah rasm o rah e duniya nibhane ke liye
rasm o haalat ki sooli pe latak jaate hain
apne daaman pe lage daagh e ghareebi ke sabab
kitne nakarda gunaahon ki sazaa paate hain
subh e takhleeq se ab tak to yahi dekha hai
jab koi khwaab meri palkon pe par tolta hai
waqt ke haath naya jaal bichha dete hain
baab e taaseer ko chhu aae duaa koi agar
to jahan waale kai pehre bitha dete hain
ye tera zarf hai zarre ko nawaaza tu ne
par ye naata main kabhi jod nahin paaunga
mere paaon men riwaayat ki zanjeeren hain
main ye zanjeeren kabhi tod nahin paaunga
ye nahin hai ke mere seene men armaan nahin
ye bhi sach hai tujhe ranjoor nahin kar sakta
baawajood is ke meri mohsin o ghamkhwaar hai par
main teri maang men sindoor nahin bhar sakta
---------
|