donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* HAMARE BEECH PEHLE EK YAARANA BHI HOTA THA *
HAMARE BEECH PEHLE EK YAARANA BHI HOTA THA
KAABHI CHEHRA YE MERA JAANA PEHCHANA BHI HOTA THA
 
YAHI KAAFI KAHAN THA TERE AAGE SAR JHUKA DETE
HAMEN TO DUNIYA KE LOGON KO SAMJHANA BHI HOTA THA
 
FASEELEN TO HAWAADIS NE DILON MEN KHENCH DI THIN PAR
"HAR IK AABAD GHAR MEN EK VEERANA BHI HOTA THA"
 
DHARAM AUR ZAAT KE HAR AIB SE JO PAAK THA YAARO
RAH E DAIR O HARAM MEN EK MAIKHANA BHI HOTA THA
 
SHIKAM KI AAG MEN JALNA TO PHIR AASAN THA YAARAB
MAGAR DO BHOOKE BACHCHON KO JO BEHLAANA BHI HOTA THA
 
KIYE THE BAARAHA SAJDE JAMAAL E ROO E JAANAN KO
ISI DIL MEN MOHABBAT KA WO BUTKHANA BHI HOTA THA
 
TUMHEN AB YAAD HO 'MUMTAZ' KI CHAAHE NA HO LEKIN
KABHI DUNIYA KE LAB PE APNA AFSAANA BHI HOTA THA
*****************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 374