donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* MAAZI KE NISHAA'N AUR HAAL KA GHAM JAB EK THIKAANE MILTE HAI'N *
MAAZI KE NISHAA'N AUR HAAL KA GHAM JAB EK THIKAANE MILTE HAI'N
KUCHH AUR CHUBHAN BADH JAATI HAI, JAB YAAR PURAANE MILTE HAI'N
 
KUCHH DARD KE TOOFAA'N UTHTE HAI'N KUCHH AAG KHUSHI KI JALTI HAI
IK HASHR BAPAA HO JAATA HAI, JAB DONO'N ZAMAANE MILTE HAI'N
 
GO EK ZAMAANA BEET GAYA US LAZZAT SE MEHROOM HUE
AB BHI WO HAME'N MEHROOMI KA EHSAAS DILAANE MILTE HAI'N
 
GHAR CHHOD KE JAANA PADTA HAI, DIN RAAT MILAANE PADTE HAI'N
PURZOR MASHAQQAT SE YAARO, KUCHH RIZQ KE DAANE MILTE HAI'N
 
AB TAK TO FAZAA E ZEHN ME'N BHI VEERAAN KHIZAA'N KA MAUSAM HAI
DEKHE'N KE BAHAAR'N ME'N AB KE KYA KHWAAB NA JAANE MILTE HAI'N
 
DEKHO TO KABHI, PALTO TO SAHI, ANMOL HAI HAR PANNA PANNA
MAAZI KI KITAAB'N ME'N AKSAR NAAYAAB FASAANE MILTE HAI'N
 
HASRAT KE LAHOO KA HAR QATRA MITTI ME'N MILAANA PADTA HAI
MAT POOCHHIYE KITNI MUSHKIL SE YE GHAM KE KHAZAANE MILTE HAI'N
 
JAZBAAT KE PAAO'N ME'N BEDI, GUFTAAR PE KUFL E NAAZ E ANAA
WO MILTE BHI HAI'N TO YU'N JAISE, EHSAAN JATAANE MILTE HAI'N
 
DO CHAAR NIWAALE BHI NA MILE, TO AAB E QANAA'AT PEE DALAA
IS BAZM E JAHAA'N KI BHEED ME'N KUCHH AISE BHI GHARAANE MILTE HAI'N
 
MAKHMOOR E GHAM E DAURAA'N HO KAR, TAQSEEM E MOHABBAT KARTE HAI'N
BEKAIF JAHA'N ME'N KUCHH AB BHI "MUMTAZ' DIWAANE MILTE HAI'N
************************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 326