donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* nazar bhi, rooh bhi, dil bhi, hai daaman bhi tahee daata *
nazar bhi, rooh bhi, dil bhi, hai daaman bhi tahee daata
pukaare teri rehmat ko meri tashna labi daata
tere haathoN meN aye shaah e sakhaa kaunain rakkhe haiN 
bahot chhoti, bahot adnaa si hai meri khushi daata

aqeeda hai mera hat kar, talab meri ziyaada hai
mera kashkol hai chhota, teri rehmat kushaada hai
diya tu ne mujhe jo bhi, teri rehmat se to kam hai
mohabbat meN mera had se guzarne ka iraada hai 

meri taqdeer meN kaun o makaaN rakhna, iram rakhna
mere daata zaraa apni sakhaawat ka bharam rakhna
kahiN ummeed ka sheesha na chakna choor ho jaae
mere haalaat par daata zaraa nazar e karam rakhna

nazar teri sakhaawat par, teri dehleez par sar hai
maiN ik toofaan hooN gham ka, tu rehmat ka samadar hai
meri is pyaas ko ehsaas ka dariya ataa kar de
mere daaman meN duniya ki sabhi raanaaiyaaN bhar de
*****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 334