donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* cash ki shakl meN aae jo, wo maal achha hai *
pesh e khidmat haiN Daagh ki zameen par chand ashaar 

cash ki shakl meN aae jo, wo maal achha hai
khwaah dinaar o dirham ho, ke riyaal, achha hai

khwaah ho vote ki khaatir, pa koi kaam to ho
democracy meN election ka hi saal achha hai 

pahle shaayar the alag, aur gavayye the alag
ban gae aaj to shaayar hi qawal, achha hai

pahle nakarda gunaahoN ki sazaa di, aur ab
press ke saamne karte haiN malaal, achha hai

aur kuchh ye bhi

zindagi chain se marne nahiN deti ham ko
aur kar rakkha hai jeena bhi muhaal, achha hai 

ek bechaini si din raat raha karti hai
mere sar par ye mohabbat ka vabaal achha hai

mere haathoN se na sarzad ho koi kaar e haraam
do nivaale hoN, magar rizq e halaal achha hai

dil meN chubhti haiN to jee uthte haiN armaan kai
un ki aankhoN meN ye purlutf kamaal achha hai 

ye bhi mulaahiza ho

dar to hai tund hawaa se, pa jataate bhi nahiN
ham charaaghoN ko sar e raah jalaate bhi nahiN 

haiN sakhi aap, magar ye to mohabbat hai janaab
ye khazaana to sar e aam lutaate bhi nahiN 

ham ko yaadoN ka qafas bhi nahiN manzoor magar
naam likkha hai jo dil par, wo mitaate bhi nahiN 

apne hi paas rakheN aap inaayat apni
ham to kamzarfoN ka ehsaan uthaate bhi nahiN 

masnooi cheezoN se ham ko hai adaawat kya kya
kaaghzi phooloN ko ham ghar meN sajaate bhi nahiN 

yuN to "Mumtaz" mujhe yaad hai har baat magar
ab wo lamhaat mere dil ko dukhaate bhi nahiN
*****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 307