donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* khushi ke khair maqdam meN, ghamoN ko aazmaane meN *
khushi ke khair maqdam meN, ghamoN ko aazmaane meN
bahot takleef hoti hai hameN ab muskraane meN 

wafaa ke koh se hasti meN joo e sheer laane meN 
rahe masroof ham ab tak muqaddar aazmaane meN 

hameN apne tazabtub se agar raahat nahiN hogi
guzar jaaengi sadiyaaN, us ko haal e dil bataane meN 

mere maalik, tere saail ka hai daaman tahi ab tak
zara batlaa to de mujh ko, kami kya hai khazaane meN 

wo lamhaa, jis meN saari zindagi ki wus'ateN gum thiN 
zamaana lag gaya ham ko wo ik lamhaa churaane meN 

shikast o fat'h ka ye khel bhi kya khel hai yaaro
mazaa aata hai aksar jeet kar bhi haar jaane meN 

kahiN aaghosh e turbat meN hayaat e daaymi bhi hai
kahiN hai zindagi atki nafas ke taane baane meN 

kabhi to hasratoN ke daam se "Mumtaz" ham chhooteN
banti jaati hai hasti hasratoN ke khaane khaane meN
****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 346