donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* MASARRATO'N KI ZAMEE'N PAR YE KAISI SHABNAM HAI *
MASARRATO'N KI ZAMEE'N PAR YE KAISI SHABNAM HAI
GHUBAAR KAISA HAI SEENE ME'N, MUJH KO KYA GHAM HAI
 
QADAM QADAM PE BICHHE HAI'N HAZAARO'N KHAAR YAHA'N
ZARA SAMBHAL KE CHALO, ROSHNI ABHI KAM HAI
 
ZARAA JO HANSNE KI KOSHISH KI, AANKH BHAR AAI
SHAGUFTAA KHUSHIYO'N PE MEHROOMIYO'N KA MAUSAM HAI
 
THAKI THAKI SI TAMANNA, UDAAS UDAAS UMMEED
BUJHA BUJHA SA KAI DIN SE DIL KA AALAM HAI
 
JALAN SE TAPNE LAGI HAI FIZAA E SEHRA E DIL
HAR EK SAANS MERI ZINDGI KA MAATAM HAI
 
KHILI KHILI SI HANSI PAR JAMI JAMI SI KHALISH
TARAB KE ZAKHM PE KHUSHFEHMIYO'N KA MARHAM HAI
 
ABHI HAI QAID ME'N KHUSHBOO, HAI'N RANG AAWAARA
ABHI BAHAAR PARESHAA'N HAI ZEEST BARHAM HAI
 
NAZAR ME'N DOOBTI JAATI HAI'N ROSHNI KI LAVE'N
YAQEENAN AAJ SITAARO'N KI AANKH BHI NAM HAI
 
CHAMAN CHAMAN PE UDAASI, SHAJAR SHAJAR GHAMGEE'N
HAR EK SHAAKH PE 'MUMTAZ' ZARD PARCHAM HAI
************************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 364