donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* DO JAAGI SOI HUI SI AANKHO'N KA KHWAAB THA WO *
DO JAAGI SOI HUI SI AANKHO'N KA KHWAAB THA WO
MERI TAMANNAO'N KE FUSOO'N KA JAWAAB THA WO
 
HAR IK ANDHERE KA RAUSHNI KA HIJAAB THA WO
HAMAARI HASTI KE RAAZ E PINHAA'N KA BAAB THA WO
 
ATAA KIYE THE TAMAAM KARB O MALAAL DIL KO
JO MUJH PE NAAZIL HUA THA AISA AZAAB THA WO
 
THA DIL KI DUNIYA KI SALTNAT KA WO SHAAHZAADA
MOHABBATO'N KI KHULI HUI IK KITAAB THA WO
 
QAREEB TAR THA MAGAR RAHA KITNE FAASLE PAR
JAHAAN E HASRAT KI SARZAMEE'N KA SARAAB THA WO
 
HAR EK KHWAAB E FUSOO'N KI TAABEER BAN KE AAYA
HAYAAT KITNI HASEE'N THI JAB HAMRAQAAB THA WO
 
NA HAM NE AAWAAZ DI NA US NE PALAT KE DEKHA
HAME'N KAHA'N ILM THA KE DAUR E SHABAAB THA WO
 
KE PATTI PATTI BIKHAR GAI THI HAWAA ME'N US KI
GAI RUTO'N ME'N KHILA THA AISA GULAAB THA WO
 
KISI SITAM KI BHI US KE 'MUMTAZ' HAD NAHI'N THI
MERI HAR IK MAAT SE SADAA KAAMYAAB THA WO
**********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 323