donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* NOOR YE KIS KA ROZ CHURA KAR LAAEY HAI MEHR E TAABA'N *
NOOR YE KIS KA ROZ CHURA KAR LAAEY HAI MEHR E TAABA'N
ROZ SAMANDAR KI MAUJO'N PAR KAUN BIKHEREY AFSHAA'N
 
TOOT GAEY SAB PYAR KE TAANKE ZAKHM HUE SAB URIYAA'N
TEZ HUI LAY DARD KI YAARO HAAR GAYA HAR DARMAA'N
 
RAAT KI TEERA SARD GALI ME'N SHOR UTHA JAB GHAM KA
JAAG UTHA HAR DARD PURAANA JAAG UTHA HAR ARMAA'N
 
ISHQ KI BAAZI, JAAN KA SAUDA, DAAGH, SITAM, RUSWAAI
CHAAR QADAM DUSHWAAR HAI CHALNA, RAAH NAHI'N YE AASAA'N
 
JITNI BADHI SAILAAB KI SHIDDAT, UTNA JUNOO'N BHI MACHLA
NAAV SHIKASTA PAAR HUI, HAIRAAN KHADA HAI TOOFAA'N
 
KHAAS HUI IKHLAAS KI ZAU, PHIRTI HAI WAFA AAWAARA
ISHQ BHI HAI IFRAAT ME'N HAASIL, AUR HAI DIL BHI ARZAA'N
 
JEET GAYA TU HAAR KE BHI HAR DAANV SHIKAST E DIL KA
HAAR GAEY HAM JEET KE BHI PINDAAR KI BAAZI JAANA'N
 
AAJ QAFAS KO AAG LAGA DE DIL KI CHINGAARI SE
TOD DE HAR  ZANJEER GIRA DE AAJ DIWAAR E ZINDAA'N
 
KHWAAB SARAABO'N KE DEKHU'N, AB NEEND SE BHI KHAUF AAEY
AANKH HAI PYAASI, HONT HAIN TASHNA, DIL MEHBOOB KA KHWAAHA'N
 
AAJ HUA 'MUMTAZ' MUKAMMAL ISHQ KA WO AFSAANA
TOOT GAI ZANJEER WAFAA KI TANG HUI JAB JAULAA'N
********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 327