donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* KAHA'N TAK NA JAANE MAI'N AA GAI, GUM RAAT DIN KE SHUMAAR ME'N *
KAHA'N TAK NA JAANE MAI'N AA GAI, GUM RAAT DIN KE SHUMAAR ME'N
KAHI'N QAAFILAA BHI WO KHO GAYA, INHI'N GARDISHO'N KE GHUBAAR ME'N
 
NA KOI RAFEEQ NA AASHNA, NA ADOO NA KOI RAQEEB HAI
MAI'N HOO'N KAB SE TANHAA KHADI HUI, IS ANAA KE TANG HISAAR ME'N
 
HAI AJEEB FITRAT E BEKARAA'N KE SUKO'N KA KOI NISHAA'N NAHI'N
KABHI SHAADNAA'N HOO'N GIRAFT ME'N, KABHI MUNTASHIR HOO'N FARAAR ME'N
 
WO SHAB E SIYAAH GUZAR GAI, MERI ZINDAGI TO THEHER GAI
HAI AJEEB SI KOI BEKALI, KOI KASH MA KASH HAI QARAAR ME'N
 
HAR SIMT GO GUL KHIL GAEY HADD E NIGAAH TALAK MAGAR
HAI'N CHAMAN CHAMAN PE UDAASIYAA'N, HAI'N KHIZAA'N KE RANG BAHAAR ME'N
 
JALE PAR BHI WAQT KI DHOOP ME'N, GIRE HAM ZAMEE'N PE HAZAARHAA
WAHI HAUSLE HAI'N UDAAN ME'N, WAHI LAGHZISHE'N HAI'N SHA'AAR ME'N
 
JUDAA HO GAYA HAI WARAQ WARAQ, MERI ZINDAGI KI KITAAB KA
WO KHAZAANA DIL KA GANWAA DIYA, RAHI CHOOR MAI'N JO KHUMAAR ME'N
 
NA WO HIS RAHI NA NAZAAKATE'N, NA RAHI'N QARAAR KI HAAJATE'N
NA WO DIL ME'N BAAQI KASAK RAHI, NA WO DARD ROOH E FIGAAR ME'N
 
MAI'N THI GUM SAFAR KE JUNOON ME'N, KE NA DEKHE KHAAR BHI RAAH KE
'MUMTAZ' DIL THA LAHOO LAHOO KISI AARZOO KE FISHAAR ME'N
********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 353