donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* JALWA THA KE IK TOOR E DARAKHSHAA'N THA AYAA'N *
JALWA THA KE IK TOOR E DARAKHSHAA'N THA AYAA'N
NAZARO'N KO SAMBHAALE'N YE RAHA HOSH KAHA'N
 
HASRAT NA KOI KHWAAB NA AB DARD E NIHAA'N
BAAQI NA ZEEST KA KOI IMAKAA'N
 
 
IS RAAH SE GUZRI THI WO ZOU BAAR KIRAN
HAR NAQSH E KAF E PAA HAI ABHI TAK TAABA'N
 
ULFAT KA GUZAR DIL KE SIYAHKHAANE SE
YE ZEEST KI RAAHO'N ME'N TAJALLI KA GUMAA'N
 
BHEEGI HUI REHTI HAI SADAA DIL KI ZAMEE'N
BAARISH SE DHULA KARTA HAI HAR DAAGH YAHA'N
 
KHURSHEED KI KIRNO'N NE CHHUAA BADH KE ZARA
BIKHRI HAI SAMANDAR KI SATAH PAR AFSHAA'N
 
MAAZI KE DAREECHO'N SE JO DEKHA HAM NE
HAR SIMT TABAAHI KE NAZAR AAEY NISHAA'N
 
UTHTA HAI AJAB DARD DIL E BISMIL ME'N
HAR WAQT KHATAKTAA HAI TERA TEER E NIHAA'N
 
'MUMTAZ' TABAAHI KA GILAA KYA KARTE
FARIYAAD KI KHAATIR BHI NA KHUL PAAI ZUBAA'N
********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 310