donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* HAM APNE AAP KO BHI KHO CHUKE MANZIL KI KAAWISH MEN *
HAM APNE AAP KO BHI KHO CHUKE MANZIL KI KAAWISH MEN
YAQEENAN KOI TO HOGI KAMI APNI HI KOSHISH MEN
 
TADAP UTHTA THA HAR AAHAT PE DIL WO BHI ZAMANA THA
WO JAZBAA JAANE KAB KA JAL CHUKA RANJISH KI AATISH MEN
 
TARAS KHAA KAR HAMARA HAAL TO WO POOCHH LETE HAIN
MAZAA KYA KHAAK AATA HAI? ZABARDASTI KI PURSISH MEN
 
AGAR JAZBAA HO KAAMIL MANZILEN KHUD PAAS AATI HAIN
PALAT JAATE HAIN MUSTAQBIL NAZAR KI EK JUMBISH MEN
 
TALAB AAWAARGI KI DAR BA DAR HAM KO PHIRAATI HAI
MUQADDAR BHI RAHA SHAAMIL HAMESHA DIL KI  SAAZISH MEN
 
 PAHEN KAR JISM MAAZI SAAMNE AANE LAGA HAI AB
NA JAANE KITNE PAIKAR BAN RAHE HAIN AAJ BAARISH MEN
 
MITE JAATE HAIN SAARE NAQSH AB TO HAAFIZE SE BHI
JALI JAATI HAIN UMMEEDEN MAH E KAAMIL KI TAABISH MEN
 
TAMANNA KI BALANDI SAR NAGHUN HONE NAHIN PAAI
ANAA KA RANG SHAAMIL THA MERI MUMTAZ KHWAAHISH MEN
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 301