donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* KOI JAZBAA, KOI HAAJAT, AARZOO KOI, NA KHWAAB *
KOI JAZBAA, KOI HAAJAT, AARZOO KOI, NA KHWAAB
IS HAQEEQAT KI ZAMEE'N PAR HAM NE BAS PAAYA SARAAB
 
CHAAR DIN KI KHUSHKALAAMI, ZINDAGI BHAR KA AZAAB
ISHQ KI HASTI HI KYA HAI, EK JHONKA, IK HUBAAB
 
ZINDAGI PHIR MAANGTI HAI LAMHAA LAMHAA KA HISAAB
SAR JHUKAAE HAM KHADE HAI'N, KYA ISE AB DE'N JAWAAB
 
KAISA YE SAILAAB AAYA DIL KE REGISTAAN ME'N
ZINDAGI HAI REZAA REZAA, HASRATE'N HAI'N AAB AAB
 
HAR GHADI DIL KI ZAMEE'N PAR RAQS KARTI HAI'N HANOZ
IN SHIKASTA HASRATO'N KO KYU'N NAHI'N AATA HIJAAB
 
IS ZAMEEN E ZAAT ME'N AB ZALZALAA AANE KO HAI
ZINDAGI KARNE CHALI HAI AARZOO KA EHTESAAB
 
DIL JO MUTAHARRIK HUA TO MIT GAYA SAARA JAMOOD
HASTI E BEHIS ME'N YAARO AA CHUKA HAI INQILAAB
*****************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 348