donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ham jhelne azizoN ka har waar aa gaey *
ham jhelne azizoN ka har waar aa gaey
seena ba seena bar sar e paikaar aa gaey
 
aey zindagi, khudaara hameN ab muaaf kar
ham to tere sawaaloN se bezaar aa gaey
 
tamseel duniya deti thi jin ke khuloos ki
un ko bhi duniyadaari ke atwaar aa gaey
 
yaaro sitam zareefi to qismat ki dekhiye
kashti gai, to haathoN meN patwaar aa gaey
 
ghabra gaey haiN aks ki badsoorti se ab
ham aainoN ke shehr meN bekaar aa gaey
 
aawaargi ka lutf bhi ab to hua tamaam
ab to safar meN raaste hamwaar aa gaey
 
itne haqeeqatoN se gurezaaN hue ke ab
"ham khwaab bechne sar e baazaar aa gaey"
 
ab muflisi ki to koi qeemat na thi, ke ham
"Mumtaz" aaj bech ke dastaar aa gaey
*******************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 314