donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ISI DIL ME.N JALWAGAR HAI.N SABHI ROOH KE UJAALE *
ISI DIL ME.N JALWAGAR HAI.N SABHI ROOH KE UJAALE
YAHI.N KAABA E MOHABBAT YAHI.N ISHQ KE SHIWAALE
 
KAHI.N QURBATO.N ME.N BHI HAI KOI FAASLA ZAROORI
YE MOHABBATO.N KI SHIDDAT MUJHE MAAR HI NA DAALE
 
JO ANAA KI KASH MA KASH ME.N MERE SAATH THE HAMESHA
YAHI.N DIL ME.N KHEMAZAN HAI.N UN LAMHO.N KE RISAALE
 
TERI BENIYAAZIYO.N SE YE SUROOR MAR NA JAAEY
ABHI AARZOO HAI BARHAM USE TU ZARA MANA LE
 
YE KHANDAR PADA HAI KAB SE VEERAAN KAUN JAANE
YAHA.N HAR TARAF LAGE HAI.N MAJBOORIYO.N KE JAALE
 
WAHA.N MASLEHAT KA YAARO KOI DAR KHULE TO KAISE
JAHA.N ZAAT PAR PADE HO.N KHUDDAARIYO.N KE TAALE
 
INHI.N DIL KI WAADIYO.N ME.N MAI.N BHATAK RAHI HOO.N KAB SE
IS DASHT E AARZOO SE MUJHE KAUN AB NIKAALE
 
KIYA KITNA SAAF LEKIN KOI RUKH NA IS KA CHAMKA
AAINA E WAFA KE SABHI ZAAVIYE HAI.N KAALE
 
YE JUNOON KI TAMAAZAT MUJHE KHAAK KAR GAI HAI
MERI ROOH PAR PADE HAI.N MERI JUR'ATO.N KE CHHAALE
 
WO GHUROOR WO SIYAASAT WO KHULOOS O INKESAARI
'MUMTAZ' SHEHR E DIL KE SABHI DHANG HAI.N NIRAALE
********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 330