donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kaargaah e yaum e nau ka khul raha hai pehla baab *
kaargaah e yaum e nau ka khul raha hai pehla baab
subh ki peshaani pe chunta hai afshaaN aaftaab
jaag uthi hai, leti hai angdaaiyaaN subh e khiraam
apne apne kaam par sab chal diye hai'n khaas o aam
apni apni fikr o fan men hausle mehlool haiN
boodhe, bachche mard o zan, sab kaam meN mashghool haiN
ik taraf maazi ka gham hai, ik taraf hai jashn e haal
mar gaya ik saal aur paida hua hai ek saal
chal padi phir zindagi, rangeeN ridaa odhe hue
kaamraani ki sureeli si sadaa odhe hue
aarzoo'oN ke laboN par phir tabassum khil utha
jaag utha, angdaaiyaaN le kar ke mustaqbil utha
hasrateN machlee haiN, phir sab ke laboN par hai duaa
kaash! ab ke saal sach ho jaaey sab socha hua
maiN bhi karti hooN duaaeN, dostoN ke waaste
ya khuda, hamwaar kar de har kisi ke raaste
har kisi ko de khushi, har ek ki hasrat nikaal
le ke rehmat ka khazaana, aaye nau maulood saal
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 343