donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* SANAM YE BANDGI NE AAJ KAISE KAISE DHAALE HAI.N *
SANAM YE BANDGI NE AAJ KAISE KAISE DHAALE HAI.N
DILO.N KE KAABA O DAIR O KALEESA TOD DAALE HAI.N
 
HAMAARI REZA REZA ROOH KE JALTE SAHEEFE KE 
HAR IK BAAB E TAMANNA KE SABHI AURAAQ KAALE HAI.N
 
HATA LO MERI AANKHO.N SE MASARRAT KE SABHI MANZAR
ABHI BEENAAI ZAKHMI HAI ABHI AANKHOB ME.N CHHALE HAI.N
 
NA JAANE KIS KHUSHI KI AARZOO ME.N AAJ TAK HAM NE
HAR IK VEERANA CHHANA HAI, SABHI SEHRA KHANGAALE HAI.N
 
BIKHAR JAAE YE SHEERAZA TO HAM KO BHI SUKOO.N AAEY
NA JAANE KAB SE REZA REZA HASTI KA SAMBHAALE HAI.N
 
RAGO.N ME.N BHAR GAYA HAI ZEHR TO AAKHIR GILA KYU.N HO
HAMI.N NE NAAG APNI AASTEENO.N ME.N TO PAALE HAI.N
 
BALANDI HO AGAR PARWAAZ ME.N, PAR NOCH LETE HAI.N
YAHA.N GUFTAAR QAIDI HAI, YAHA.N FIKRO.N PE TAALE HAI.N
 
KABHI TO MUKHTASAR HOGI SIYAAHI RAAT KI AAKHIR
PAS E TAAREEKI E SHAB SUBH E FARDAA KE UJAALE HAI.N
 
HAI MUSTAQBIL HAMAARA GAAMZAN PHIR GHAAR KI JAANIB
HAMAARI SAARI QADRE.N AB TA'ASSUB KE HAWAALE HAI.N
 
KAI AISE BHI HAI.N BADBAKHT JIN KE DIL KE DAAMAN ME.N
FAQAT AANSOO HI AANSOO HAI.N, FAQAT NAALE HI NAALE HAI.N
 
IRAADA HAI AGAR 'MUMTAZ' TO PHIR DEKHNA IK DIN
ZAMEE.N PAR AASMAA.N HAM HI YAQEENAN LAANE WALE HAI.N
************************8
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 302