donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* PAL WO NAU GYARAH KE WO MAJBOORIYO.N KA SILSILA *
PAL WO NAU GYARAH KE WO MAJBOORIYO.N KA SILSILA 
WO QAYAMAT KHEZ MANZAR HAADSA DAR HAADSA
MAUT NE LABBAIK US DIN KITNI JAANO.N PAR KAHA
KAUN KAR SAKTA HAI AAKHIR UN PALO.N KA TAJZIYAA
 
HAADSA KEHTE HAIN KIS SHAY KO BALA KYA CHEEZ HAI
DOOBNA SAILAAB E AATISH ME.N BHALA KYA CHEEZ HAI
MAUT SE AANKHE.N MILAANE KI BHALA HIMMAT HAI KYA
JIN PE GUZRI THI, YE POOCHHO UN SE, YE DEHSHAT HAI KYA
 
POOCHHNA HAI GAR TO POOCHHO BUDHI MAAO.N SE ZARA
JIN KE LAKHT E DIL KO UN MURDA PALO.N NE KHA LIYA
UN YATEEMO.N SE KARO DARIYAAFT, GHAM HOTA HAI KYA
LAMHO.N ME.N REHMAT KA SAAYA JIN KE SAR SE UTH GAYA
 
HAI QAZA KA ZULM KYA BEWAAO.N KO MAALOOM HAI
ASHK KE QATRO.N ME.N PINHAA.N KAUN SA MAFHOOM HAI
KYA BATAAE.N KIS QADAR BADBAKHT YE MARHOOM HAI.N
JO KAFAN KYA, LAASH KE REZO.N SE BHI MEHROOM HAI.N
 
HAIN KAI AISE BHI JIN KI ZINDGI KI RAAH ME.N
SIRF AANSOO, SIRF AAHE.N, SIRF NAALE REH GAEY
JIN KI TANHAA ROOH KE JALTE SAHEEFE ME.N TO AB
BAAB E HASRAT KE SABHI AURAAQ KAALE REH GAEY
 
JIS JAGAH TOOTI BALAA E NAAGAHA.N AFLAAK SE
US ZAMEE.N KE ZAKHM ASHKO.N SE SABHI DHOTE RAHE
US SIFAR MAIDAAN ME.N FASLE.N TADAP KI HAI.N UGI
ZARRE ZARRE ME.N JAHA.N AANSOO SABHI BOTE RAHE
 
YE JUNOO.N, YE QATL, YE BARBAADIYO.N KA SILSILA
KAUN JEETA, KHEL KAR JAANO.N SE KIS KO KYA MILA
AADMEEYAT KO JO NAFRAT KA KAFAN PEHNA GAYA
FITNA DEHSHATGARDIYO.N KA YE KAHA.N SE AA GAYA
 
DEKHIYE YE FITNASAAZI AB KAHA.N TAK JAAEGI
IN KI YE DEEWANGI KYA KYA QAYAMAT DHAAEGI
JAANE KYA KYA YE BALAA DEHSHAT KI AB DIKHLAAEGI
DEKHNA DEHSHAT KI DAAYAN KITNI JAANE.N KHAAEGI
 
KYA SHUJAA'AT HAI, KE CHHUP KAR WAAR KARTE HAIN YE MARD
QUFL HAI IN KE DILO.N PAR IN KE HAI.N JAZBAAT SARD
GUMRAHEE KI TEERGI ME.N KAB BHALA JAAGA HAI DARD
JAM GAI HAI IN KE DIL PAR JAANE KIS RASTE KI GARD
 
JO KHABAR BUNTA HAI AKSAR BEKHABAR HOTA HI HAI
ZULM KA HAR EK RASTA PURKHATAR HOTA HI HAI
ZULM KE PEDO.N PE NAFRAT KA SAMAR HOTA HI HAI
AAH ME.N MAZLOOM KI AAKHIR ASAR HOTA HI HAI
 
AAH JAB UTTHE TO PATTHAR KO HILA DETI HAI AAH
RAAYGAA.N MAZLOOM KI JAA HI NAHI.N SAKTI KARAAH
BEBASI KI SISKIYO.N SE HAAR JAATA HAI GUNAAH
KIBRIYA JIS SE KHAFA HO, KAUN DE US KO PANAAH
 
AYE GUNAHGAAR E BASHAR APNA KHAYAAL E KHAAM DEKH
KAISE KAISE TERE DIL PAR CHHAEY HAI.N AUHAAM DEKH
DEKH APNI KAJKULAAHI KI YE KAALI SHAAM DEKH
SARKASHO.N KA KAISA IBRATNAAK HAI ANJAAM DEKH
 
IS KAHAANI KA BHI AAKHIR HO GAYA YU.N IKHTETAAM
BACH NAHI.N SAKTA KOI PHENKE QAZAA JAB APNA DAAM
WAQT KE FIRAUN KO KHAAK E WATAN BHI THI HARAAM
KHO GAYA MAUJ E SAMANDAR ME.N WO DEHSHAT KA NIZAAM
***********************8
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 464