donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* AYE MUSALMAANO, HAI TUM SE DAST BASTA YE KHITAAB *
AYE MUSALMAANO, HAI TUM SE DAST BASTA YE KHITAAB
DIL PE RAKH KAR HAATH SOCHO PHIR MUJHE DENA JAWAAB
UMMAT E MUSLIM KI HAALAT KYUN HUI ITNI KHARAAB
KIS LIYE ALLAH NE DAALA HAI HAM PAR YE AZAAB
 
KEH RAHE HAIN LOG, BADTAR HAI HAMAARI ZINDGI
PICHHDI QAUMO'N SE BHI, BADBAKHTO'N SE BHI, DALITO'N SE BHI
SUN KE YE SAB MANTAQE'N IK BAAT YE DIL ME'N UTHI 
HAM ME'N YE BE CHEHRAGI AAKHIR KAHA'N SE AA GAI
 
HAM DALITO'N SE BHI NEECHE? ALLAH ALLAH! KHAIR HO
HAAY YE HAALAT, KE HAM SE KIBRIYA KA BAIR HO?
TUM WATAN ME'N REH KE BHI APNE WATAN SE GHAIR HO
AB QADAM KOI, KE APNI BHI TABEEAT SAIR HO
 
HAM FAREB E MASLEHAT HAR BAAR KHAATE AAEY HAI'N
MULK KE YE REHNUMA HAM KO NACHAATE AAEY HAI'N
KITNE ANDESHO'N SE YE HAM KO DARAATE AAEY HAI'N
YE HAMAARI LAASH PAR MEHFIL SAJAATE AAEY HAI'N
 
QAUM KE WO REHNUMA, JO BECH BAITHE HAI'N ZAMEER
YE TO KHUD APNI HI FITNA SAAZIYO'N KE HAIN AMEER
YE GHULAAM E MAAL O ZAR, YE AISH O ISHRAT KE ASEER
KHUD HI SOCHO, KYA BANENGE YE TUMHARE DASTGEER
 
HAUSLE KOI TO DEKHE GHAIRAT E WAJDAAN KE
DO KITAABE'N PADH KE AALIM BAN GAEY QUR'AAN KE
NEEM KI HIKMAT KARE'N JO, WO HAIN GAAHAK JAAN KE
BAAT IN KI MAAN NA, LEKIN ZARA PEHCHAAN KE
 
DEEN KE FITNAGARO'N KO KOI SAMJHAAEY YE RAAZ
MUFLISI ME'N TOOT JAATA HAI WAZA'ADAARI KA SAAZ
JAL RAHA HO JAB SHIKAM TO KYA HAQEEQAT KYA MAJAAZ
PET JAB BHOOKA HO TO PHIR KAISA SAJDAA, KYA NAMAAZ
 
PET MEN ROTI NA HO TO ILM SAB BEKAAR HAI
DUNIYA ME'N HAM HAI'N TO DUNIYADAARI BHI DARKAAR HAI
US NE HAM KO DEEN BAKHSHA, US KA HAI HAM PE KARAM
PAR USI MAALIK NE HI TO HAM KO BAKHSHA HAI SHIKAM
 
EK NE'MAT PAR FIDAA HAI'N, EK SE INKAAR KYU'N
SO RAHE HO KIS LIYE, HOTE NAHIN BEDAAR KYU'N
KUND ZEHNO'N KI TUMHARE PAD GAI HAI DHAAR KYU'N
ILM O FAN PE AAJ AAKHIR ITNI HAI TAQRAAR KYU'N
 
KAB KAHA QUR'AAN NE, TUM ILM SE GHAAFIL RAHO
HAI KAHA'N LIKKHA KE DUNIYA SE SADA BEDIL RAHO
FITNA YE MILLAT KE THEKEDAARO'N KA HAI KHAAMKHWAAH
HAI KAHA'N LIKKHA KE ANGREZI KA PADHNA HAI GUNAAH
 
LIJIYE QUR'AAN PADHIYE, AUR HADEESE'N DEKHIYE
MAS'ALE PADHIYE, SAMAJHIYE, SOCHIYE, PHIR SOCHIYE
HAI YE FARMAAN E PAYAMBAR, CHHAN LIJE KAAYNAAT
ILM KI DARKAAR HO TO, CHEEN TAK BHI JAAIYE
 
KAISE KAISE SAR KIYE HAIN ZINDGI KE MAARKE
SAAHIB E KIRDAAR HAM NE KAISE KAISE HAI'N DIYE
FALSAFAA, SCIENCE, ALGEBRA, RIYAAZI DEKHIYE
AUR AB HAM PADH RAHE HAI'N ZINDGI KE MARSIYE
 
HAI'N KAHA'N BOOBAKR O USMAAN O ALI KE FALSAFE
HAI KAHAN WO JOSH, JAZBAAT E HUSSAINI KYA HUE
SAADI O RUMI, BANU MOOSA KAHA'N SAB KHO GAEY 
HAUSLE ITNE HAMAARE PAST KAISE HO GAEY
 
SAYED AHMED, AUR UN KE HAUSLO'N KA ZIKR HO
KAASH HAM ME'N BUL KALAAM AAZAD JAISI FIKR HO
LAAO PHIR IQBAAL KO, PHIR JOSH IK PAIDA KARO
BEKARAA'N HAI FAN TUMHARE HAATH ME'N KAARIGAARO
 
KUCHH TO SOCHO, ZEHN PE APNE BHI KUCHH TO ZOR DO
GHAIR KE HAATHO'N ME'N AAKHIR KYU'N TUM APNI DOR DO
APNI IS TEERA SHABI KO PHIR SUNEHRI BHOR DO
PHIR UTHO IK BAAR AISE, WAQT KO JHAKJHOR DO
 
YE ZARA SOCHO, KE TUM APNI JADO'N SE KYU'N KATE
MASLAKO'N ME'N KYUN JUDAA HO, KYU'N HO FIRQO'N ME'N BATE
AB TA'ASSUB KO SAMETO, KUCHH TO YE DOORI PATE
YAKJEHAT HO JAAEY JO HAM TO YE TAAREEKI GHATE
 
BAANDH LO PHIR SE KAMAR, MIL KAR SABHI AAGE BADHO
CHAAHE JAISE HO, ZIYAADA SE ZIYAADA TUM PADHO
AAO PASTI SE NIKAL KAR, PHIR BALANDI PAR CHADHO
KAAMYAABI KE, TARAQQI KE NAEY PAIKAR GADHO
 
APNI MANZIL EK HAI, APNA IRAADA EK HAI
HAI ALAALAT EK APNI, US KA CHAARA EK HAI
APNI CHAAHAT, APNI MILLAT, APNA RASTA EK HAI
EK HAI QUR'AAN APNA, APNA KAA'BA EK HAI
 
EK ME'N SEE DAALO SAB KO, SAARE PARCHAM EK HO'N
SAARE MASLAK, SAARE FIRQE MIL KE BAAHAM EK HO'N
EK TAAQAT BAN KE HAM UBHRE'N, AGAR HAM EK HO'N
AAO APNI QAUM KI KHAATIR SABHI HAM EK HO'N
***************************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 549