donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* TUMHAARE DIL ME'N HAM LOGON KI KHATIR KYU'N YE NAFRAT HAI *
TUMHAARE DIL ME'N HAM LOGON KI KHATIR KYU'N YE NAFRAT HAI
MUJHE APNE WATAN KE CHAND LOGON SE SHIKAAYAT HAI
 
YE TUM HO, TUM NE HAM KO AAJ TAK BAS GHAIR JAANA HAI
YE HAM HAI'N, HAM NE IS HINDOSTA'N KO APNA MAANA HAI
AGAR YE SACH NA HOTA TO BHALA HAM KYU'N YAHAN HOTE
HAM APNE KHOON KI BOONDO'N KI KYU'N FASLE'N YAHA'N BOTE
 
WO JIS NE EK DIN KUNBE KE KUNBE KAAT DAALE THE
ZAMEE'N KE SAATH ZEHN O DIL BHI JIS NE BAANT DAALE THE
WO WAHSHI SAAZISH E DAURAAN HAM NE TO NAHIN KI THI
KE WO TAQSEEM E HINDUSTAAN HAM NE TO NAHIN KI THI
 
BAHA JO KHOON E NAAHAQ, THA TUMHARA BHI, HAMAARA BHI
LUTA THA KAARWAA'N DIL KA TUMHARA BHI HAMAARA BHI
HUKOOMAT KE WO BHOOKE BHEDIYE, INSAAN KE QAATIL
FIRANGI SAAZISHO'N MEN THE HAMAARE REHNUMAA SHAAMIL
 
WO IK KAALA WARAQ ITIHAAS KA KYA DE GAYA HAM KO
TA'ASSUB, KHAUF, DIL SHIKANI KA SAAYA DE GAYA HAM KO
MASAAIB FIRQAWAARANA, GUNAH THA CHAND LOGO'N KA
TUMHARA THA, HAMAARA THA, JO THA AMBAAR LAASHO'N KA
 
TO PHIR YE ZULM KAISA HAI, KE MUJRIM HAM HI KYUN THEHRE
TABAAHI KI HAR IK SAAZISH KE MULZIM HAM HI KYUN THEHRE
GHALAT ILZAAM AB TAK SAR PE DHOEY JAA RAHE HAIN HAM
KIYA HI JO NAHI'N, US KI SAZAA BHI PAA RAHE HAI'N HAM
 
HAMAARI ZAAT PAR AB TAK USI WAHSHAT KA SAAYA HAI
HAMAARA KHOON TAB SE AAJ TAK BEHTA HI AAYA HAI
HAMAARI MUFLISI US JURM KA TAAWAAN BHARTI HAI
HAMAARI LAASH PAR NANGI SIYAASAT RAQS KARTI HAI
*************************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 359