donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* RAKKHE HO'N DIL PE JAISE SHARAARE, KUCHH IS TARAH *
RAKKHE HO'N DIL PE JAISE SHARAARE, KUCHH IS TARAH
DIN ZINDGI KE HAM NE GUZAARE KUCHH IS TARAH
 
HASTI HAI TAAR TAAR, TAMANNA LAHOO LAHOO
HAM ZINDGI KI JUNG ME'N HAARE KUCHH IS TARAH
 
MIZGAA'N SE JAISE TOOT KE AANSOO TAPAK PADE
TOOTE FALAK SE AAJ SITAARE KUCHH IS TARAH
 
HASRAT, UMMEED, KHWAAB, WAFAA, KUCHH NA BACH SAKA
BIKHRE MERE WAJOOD KE PAARE KUCHH IS TARAH
 
SEHRA KI WUS'ATO'N ME'N FAREB E SARAAB THA
KARTI RAHI HAYAAT ISHAARE KUCHH IS TARAH
 
HAM SE BICHHAD KE JAISE BADI MUSHKILO'N ME'N HO
MAAZI PALAT KE HAM KO PUKAARE KUCHH IS TARAH
 
TUGHYAANIYO'N SE JUNG BHI US KA HI JURM THA
KASHTI PE HANS RAHE THE KINAARE KUCHH IS TARAH
 
HAR ZAAVIYE SE LAGTI HAI AB KITNI KHOOBROO
HAM NE QAZAA KE RANG NIKHAARE KUCHH IS TARAH
 
'MUMTAZ' JAL KE KHAAK HUI SAARI ZINDGI
SULGE THE AARZOO KE SHARAARE KUCHH IS TARAH
*******************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 298