donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* JAAGTI AANKHON MEN UTRA ROOH KE ANDAR GAYA *
JAAGTI AANKHON MEN UTRA ROOH KE ANDAR GAYA
PHIR WO IK EHSAAS IS DIL KO MUNAWWAR KAR GAYA
 
KIS QADAR TAAREEK MERE ZEHN O DIL KO KAR GAYA
ZEEST SE MERI HAMESHA KE LIYE KHAAWAR GAYA
 
ULJHANEN, RAAHAT, SUKOOn, BECHAINIYAAn, RAANAAIYAAn
DIL KE IK SAADA WARAQ PAR RANG KITNE BHAR GAYA
 
IS TAZAAD E ZEHN NE KYA KYA SATAAYA HAI HAMEN
JIS GALI SE THA GUREZAAn, DIL WAHIN AKSAR GAYA
 
ALVIDAA KA WAQT E BOJHAL AUR WO HASRAT KI NAZAR
DIL PE IK SANG E GARAAn WO BEWAFAA PHIR DHAR GAYA
 
HO GAYA THA KAL GUZAR YAADON KE QABRASTAN SE
IS BALAA KA SHOR THA, BESAAKHTA DIL DAR GAYA
 
AJNABI KOI MUSAAFIR JAISE GUZRE RAAH SE
MERE PEHLOO SE WO IS ANDAAZ SE UTH KAR GAYA
 
PHIR BHI KHAALI HI RAHA DAAMAN MURAADOn SE MAGAR
IS JAHAAN E AARZOO MEN DIL MERA DAR DAR GAYA
 
SEE LIYE THE MAIN NE TO 'MUMTAZ' APNE LAB TALAK
ISLIYE SHAAYAD HAR IK ILZAAM MERE SAR GAYA
**********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 331