donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* BARAHNA RAQS KARTI HAI HAWAS WAHSHAT KI TAANON PAR *
BARAHNA RAQS KARTI HAI HAWAS WAHSHAT KI TAANON PAR
TA'ASSUB KE KHILAUNE BIKTE HAIN DIL KI DUKAANON PAR
 
PARINDON KO KHABAR KYA JAAL HAI GANDUM KE DAANON PAR
SHIKAARI NE CHADHAA RAKKHE HAIN TEER APNI KAMAANON PAR
 
SABHI MASHKOOK HAIN SAB KE DILON PAR KHAUF TAARI HAI
AJAB SA BOJH YE RAKKHA HAI INSAANON KI JAANON PAR
 
KISI KI NARMGOEE KO KOI SAMJHE NA KAMZORI
BANAATA HAI NISHAAn PAANI JO GIRTA HAI CHATTANON PAR
 
KAHAN SE HAM KAHAN TAK AA GAE PAINSATH HI BARSON MEN
SADI KA BOJH HAI AB HAAL KE BOSEEDA SHAANON PAR
 
ZALAALAT JURM GHURBAT BHUKMARI QISMAT HAI INSAAn KI
HAI QAID INSAANIYAT MEHLON MEN TAALE HAIN ZABAANON PAR
 
JAHAN KA RIZQ HO QISMAT WAHIN LE JAATI HAI AAKHIR
LIKHA HOTA HAI NAAM INSAAN KA GANDUM KE DAANON PAR
 
SABHI KE APNE APNE RAAG APNI APNI DAFLI HAI
HAIN SHATRANJEN BICHHI 'MUMTAZ' BAAZI HAI BAYAANON PAR
***********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 336