donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* SADAA MASROOR REHTE HAIN MOHABBAT KE YE DEEWANE *
SADAA MASROOR REHTE HAIN MOHABBAT KE YE DEEWANE
ISI JAZBE MEN KHULTE HAIN NA JAANE KITNE MAIKHAANE
 
MUJHE EEMAN KA DAVAA AGAR HO BHI TO KAISE HO
BANA RAKKHE HAIN DIL MEN BHI MOHABBAT NE JO BUTKHAANE
 
ABHI MAAZI KE KHWAABON KO ZARA KHAAMOSH REHNE DO
ABHI TO QAID KAR RAKKHA HAI HAM KO FIKR E FARDAA NE
 
MERI BEGAANGI NE IS KO BHI TADPAA DIYA AAKHIR
TAMANNA KAB SE BAITHI RO RAHI HAI MERE SIRHAANE
 
NA JAANE MOD KAISA AA GAYA HAI DIL KI RAAHON MEN
SABHI CHEHRE PARESHAAn HAIN SABHI RASTE HAIN ANJAANE
 
HAZAARON AJNABEE SAAE LIPAT KAR RO PADE HAM SE
HAM AAE THE YAHAN DO CHAAR PAL KI RAAHATEN PAANE
 
ZAMAANE KE TAQAAZON NE TARAASHA HAI MUJHE KAISE
KE AAINA BHI MERA AB MERI SOORAT NA PEHCHAANE
 
KOI JAZBAA NA GHAM BAS BEHISI HI BEHISI HAI AB
HAMEN KAISI JAGAH PAHONCHAA DIYA ZAKHMEE TAMANNA NE
 
QAFAS MEN CHHATPATAATA HAI JUNOOn PARWAAZ KI KHAATIR
TASAWWAR BUN RAHA HAI KITNE HI BEBAAK AFSAANE
 
JUNOOn KE WAASTE 'MUMTAZ' HAR MEHFIL MEN KHILWAT HAI
JAHAN DIL HAI, WAHIN HAM HAIN, WAHIN LAAKHON HAIN VEERAANE
**********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 326