donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* LAUT JAAEGI LEHER KUCHH SEEPIYAAn REH JAAENGI *
LAUT JAAEGI LEHER KUCHH SEEPIYAAn REH JAAENGI
WAQT KE HAATHON MEN KUCHH KATHPUTLIYAAn REH JAAENGI
 
PAASBAANI SHART HAI GULSHAN KI WARNA EK DIN
IS FIZAA MEN RAQS KARTI AANDHIYAAn REH JAAENGI
 
PHIR JALAANE KO YAHAN BAAQI RAHEGA KYA BHALAA
JAL CHUKEGA JAB CHAMAN BAS BIJLIYAAn REH JAAENGI
 
SARFAROSHI BADH CHALEGI APNI MANZIL KI TARAF
AUR PHIR LEHRON PE JALTI KASHTIYAAn REH JAAENGI
 
WAQT HAI AB BHI SAMBHAL JAA REHBAR E MILLAT, KE PHIR
APNE HAATHOn MEN FAQAT BADHAALIYAAn REH JAAENGI
 
INQELAAB AAEGA YE MOHRE ULAT DENGE BISAAT
AAP KI SHATRANJ KI SAB BAAZIYAAn REH JAAENGI
 
JAB JIGAR KI AAG BHADKEGI PIGHAL JAAEGA ZULM
WO BHI DIN AAEGA KHUL KE BEDIYAAn REH JAAENGI
 
RIZQ KI AISI HI NAAQADRI RAHI TO EK DIN
DAANE DAANE KO TARASTI BAALIYAAn REH JAAENGI
 
LAUT BHI AAYA AGAR WO TO YAHAN KYA PAAEGA
IS CHAMAN MEN JAB BARAHNA DAALIYAAn REH JAAENGI
 
EK BISTAR KHAAK KA AUR BAS YE DO GHAZ KI JAGAH
YE TERI 'MUMTAZ' SAB TAYYARIYAAn REH JAAENGI
********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 419