donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ABAS HAR AARZOO THEHRI HAIN SAARE KHWAAB BEGAANE *
ABAS HAR AARZOO THEHRI HAIN SAARE KHWAAB BEGAANE
TASAWWAR NE BUNE HAIN KITNE HI BEBAAK AFSAANE
 
ABHI TO ZEHN SE KHOON E TAMANNA SAAF KARNA HAI
ABHI HAM AAE HAIN JAZBAAT KI MAYYAT KO DAFNAANE
 
AJAB SA IK NASHAA HAI ASHK PEENE MEN BHI AEY YAARO
KHULE HAIN GHAMKADON MEN BHI NA JAANE KITNE MAYKHAANE
 
SIRAA MILTA NAHIN ULJHI HUI IS ZINDGAANI KA
NA JAANE KAB SE BAITHI HOON MAIN IN DHAAGON KO SULJHAANE
 
KAHAN GUM HO GAYA BACHPAN KA WO MAASOOM SA AALAM
NA WO ULFAT NA WO MASTI NA WO MUKHLIS SE YAARAANE
 
KAHIN DHOONDE SE BHI APNA NAZAR AATA NAHIN KOI
YAHAN IS MOD PAR YUN TO SABHI CHEHRE HAIN PEHCHAANE
 
MAIN KAB SE SOCH MEN GUM HOON, KISE DHOONDOON, KAHAN JAAUN
NA JAANE KYA JAGAH HAI YE SABHI RASTE HAIN ANJAANE
 
BADI MUSHKIL SE HAM NE DIL KA HAR REZAA SAMBHAALA THA
HAZAARON HASRATEN PHIR AA GAI HAIN HAM KO BEHKAANE
 
WAHI GIRIYAAN WAHI WAHSHAT WAHI HAR SIMT TAAREEKI
KAHAN LE JAAEN AB 'MUMTAZ' HAM IS JEE KO BEHLAANE
**********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 436