donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* TABAAHI KA SABAB HAI PHIR BHI INSAA.N KI ZAROORAT HAI *
TABAAHI KA SABAB HAI PHIR BHI INSAA.N KI ZAROORAT HAI
MOHABBAT KYA QAYAMAT KYA BALAA HAI KAISI AAFAT HAI
 
QADAM UTH TE NAHIN AB HAR IRAADA TOOTNE KO HAI
JUNOO.N KI AAZMAAISH HAI TAMANNAO.N KI SHAAMAT HAI
 
JUNOO.N HO ISHQ HO WAHSHAT HO NAFRAT HO KE HASRAT HO
MUJHE AEY ZINDGI TERE HAR IK TEWAR SE NAFRAT HAI
 
MAI.N QAID E ISHQ SE JAANA.N TUMHE.N AAZAD KARTI HOO.N
CHALE JAAO KE TUM KO MERE JAZBO.N KI IJAAZAT HAI
 
KHATAA TO MAI.N NE KOI KI NAHIN YE YAAD HAI MUJH KO
MUJHE APNI PASHEMAANI PE JAANAA.N SAKHT HAIRAT HAI
 
BADI MEHNAT SE MAI.N NE YE JAHAAN E DIL SANWAARA HAI
YE ULJHAN AUR YE BECHAINI MERI CHAAHAT KI UJRAT HAI
 
KOI HASRAT NA KOI DARD HAI GHAM HAI NA CHAAHAT HAI
MERE KIRDAAR MEN HAR SIMT BAS KHILWAT HI KHILWAT HAI
 
YAHI EHSAAS MUJH KO CHAIN SE REHNE NAHIN DETA
JUNOON.N KI CHAASHNI MEN THODI WAHSHAT KI HALAAWAT HAI
 
BIKHARTI JAA RAHI HAI.N ZINDGI KI AB SABHI PARTE.N
HAR IK JAZBE KI HAR HASRAT KI KUCHH AISI HI HAALAT HAI
 
ABHI MUMTAZ KI DIL SE SUNOO.N AFSAANA E ULFAT
ABHI BEENAAI NAALAA.N HAI ABHI ZAKHMI SMAA'AT HAI
*********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 362