donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* AAWAARGI NASEEB KE SAB ZAAVIYO.N ME.N THI *
AAWAARGI NASEEB KE SAB ZAAVIYO.N ME.N THI
MANZIL QADAM KE NEECHE THI MAIN RAASTO.N ME.N THI
 
JIS KO LAHOO SE SEENCHAA THA WO SHAAKH E BAA SAMAR
HAMSAAE KE MAKAAN KI ANGNAAIYO.N ME.N THI
 
HASTI TAMAAM JALTI RAHI JIS ME.N UMR BHAR
DOZAKH KI AAG ROOH KI GEHRAAIYO.N ME.N THI
 
MAANA KE TOOT TOOT KE BIKHRI TO YE BHI HAI
SHAAMIL TO ZINDGI BHI MAGAR SAAZISHO.N ME.N THI
 
WAHSHAT ME.N JAZB HOTI GAIN SAARI MASTIYAA.N
AB WO KASHISH KAHA.N JO KABHI BAARISHO.N ME.N THI
 
QAATIL KI AANKH ME.N BHI THI DEHSHAT KI IK JHALAK
JO DHAAR KHOON ME.N THI, KAHA.N KHANJARO.N ME.N THI
 
ROE THE MERE HAAL PE KAANTE BHI RAAH KE
SHIDDAT TAPAK KI AISI MERE AABLO.N ME.N THI
 
KAISA YE FAASLA THA KE HAR PAL WO SAATH THA
ULFAT KI IK TADAP BHI KAHIN RANJISHO.N ME.N THI
 
BACH KAR TO AA GAE THE KINAARE PE HAM MAGAR
TOOFAA.N KI HAR ADAA BHI YAHI.N SAAHILO.N ME.N THI
 
AAKHIR TO RISHTO.N NAATO.N KO DEEMAK SI LAG GAI
KAISI AJEEB RASM E ADAAWAT GHARO.N ME.N THI
 
HAR CHAND GIR KE HAM KO TO MILNA THA KHAAK ME.N
'MUMTAZ' UMR BHAR KI THAKAN IN PARO.N ME.N THI
********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 321