donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* GHOONT DAR GHOONT GHAM E ZEEST PIYA JAAEGA *
GHOONT DAR GHOONT GHAM E ZEEST PIYA JAAEGA
IS NAE DAUR MEN AISE BHI JIYA JAAEGA
 
APNE JAZBAAT KI SHIDDAT KO TO RO LOON PEHLE
ISHQ KI MAUT KA MAATAM BHI KIYA JAAEGA
 
ZAKHM AISA TO NAHIN KOI KE JO BHAR NA SAKE
ZAKHM E EHSAAS KA HAR TAAR SIYA JAAEGA
 
TOD DAALA HAI YAHI SOCH KE SAAGHAR AAKHIR
AB YE ZEHRAAB TO HAM SE NA PIYA JAAEGA
 
APNI BARBAADI KA IK JASHN MANAANA HAI HAMEN
INTEQAAM AISE BHI AB TUJH SE LIYA JAAEGA
 
GHAALIBAN AISE HI IS QAID SE PAA JAAEN NIJAAT
JURM E IKHLAAS KA TAAWAAN DIYA JAAEGA
 
HASHR MAASOOM TAMANNAON KA BAS DEKH LIYA
AB TO DAANISTA HAR IK JURM KIYA JAAEGA
 
RAAH KE PECH TO KHUD HI JUDAA HO JAAENGE
AUR 'MUMTAZ' SAFAR BAANT LIYA JAAEGA
********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 309