donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* TU KOI RANG HAI KE KHUSHBOO HAI *
TU KOI RANG HAI KE KHUSHBOO HAI
TU KOI KHWAAB HAI KE SAAYA HAI
MERI TANHAAI KE ANDHERON MEN
JAANE KITNI SHOAAEN LAAYA HAI
MERE BIKHRE WAJOOD KI KIRCHEN
PHIR CHAMAK UTTHIN KEHKASHAA.N KI TARAH
MERE ANDER WAHI TALAATUM HAI
PHIR KISI BEHR E BEKARAA.N KI TARAH
PHIR TAMAAZAT KA WO HI AALAM HAI
DIL MEN PHIR KOI AAFTAAB UTHA
JISM KA REZA REZA JAL UTTHA
ROOH SE PHIR KOI SHEHAAB UTHA
PHIR HUI SUBH, PHIR WO JAAG UTHI
ZINDAGI LE RAHI HAI ANGDAAI
MERI QISMAT KE VEERAA.N KHAANE MEN
PHIR SE HOTI HAI BAZM AARAAI
AYE TASAWWAR KE ZARREE.N SHEHZAADE
AA NAZAR BHAR KE TUJH KO DEKH TO LOON
YE HASEE.N KHWAAB DHANAK RANG KHAYAAL
IS TASAWWAR KO KYA TAKHAATUB DOON
********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 337