donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* IK NIWAALA NA GAYA DEHN MEN ZEHMAT KE BAGHAIR *
IK NIWAALA NA GAYA DEHN MEN ZEHMAT KE BAGHAIR
KOI SHAY MILTI NAHIN DEHR MEN MEHNAT KE BAGHAIR
 
AAJ KE DAUR KA INSAAN HUA HAI TAAJIR
POOCHHTA KOI NAHIN FUN KO BHI DAULAT KE BAGHAIR
 
AB NA IKHLAAS, NA IKHLAAQ, MOHABBAT HAI GUNAAH
AB TO EHBAAB BHI MILTE NAHIN HAAJAT KE BAGHAIR
 
HASRATEN GHUT' TI RAHI.N ZINDAGI KHOO.N ROTI RAHI
KYA KAHEN KAISE JIYE HAM TERI CHAAHAT KE BAGHAIR
 
POOCHH LEN AAP KISI SE BHI JO IS BASTI MEN
EK BHI SAANS AGAR LETA HO DEHSHAT KE BAGHAIR
 
TUJH SE HASTI HAI MERI, ZEEST KA HAASIL TU HAI
HAM KAHAN JAAEN JAHAN MEN TERI NISBAT KE BAGHAIR
 
KIS SE MEHROOM TAMANNAON KA RONA ROEN
ZINDAGI HAM NE GUZAARI HAI MOHABBAT KE BAGHAIR
 
TAALTI HAI HAMEN 'MUMTAZ' NA JAANE KAB SE
AARZOO HAI KE GHANI KOI SAKHAAWAT KE BAGHAIR
*****************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 325