donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* aaya wo jab to shaadi ka phanda bhi saath tha *
aaya wo jab to shaadi ka phanda bhi saath tha
qazi gawaah sab hi the abba bhi saath tha
 
 
FB pe to likha tha ke single hain mohtaram
cafe men milne aaye to beta bhi saath tha
 
 
mehnat thi raat bhar ki wo baareek writing
pakde gaye to naql ka kharra bhi saath tha
 
 
haathi nikal gaya tha pa dum thi phansi hui
khenchaa use to sui ka naaka bhi saath tha
 
 
pichhwaade pe jo ho gai kutte ki nazar e shauq
nochi jo pant us ne to kachchha bhi saath tha
 
 
aisa wazan badha tha ke concrete ro padi
tapke domahle se wo to chhajja bhi saath tha
 
 
laakhon ke pad ke pher men poonji bhi kho gai
choona laga kuchh aise ke kattha bhi saath tha
 
 
cricket ka tha bukhaar to maidaa.n men aa gaye
hit ki jo ball chhoot ke balla bhi saath tha
*****************88
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 347