donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* SAFAR ANJAAN THA VEERAAN RAAHEN THIN ANDHERA THA *
SAFAR ANJAAN THA VEERAAN RAAHEN THIN ANDHERA THA
YAQEE.N JIS PAR KIYA HAM NE WO REHZAN THA LUTERA THA
 
SIMATNE KA KOI IMKAAN HI BAAQI NA CHHODA THA
HAWAS NE ZINDAGI KA PARA PARA YUN BIKHERA THA
 
HAMARI ZAAT MEN SEEMAAB KI TAASEER RAKKHI THI
HAMAARI HAR NAFAS MEN EK TUGHIYAANI KA DERA THA
 
KABHI AASEB YE AABAAD REHNE HI NA DETA THA
DIL E VEERAA.N KE KHANDAR MEN KISI HASRAT KA PHERA THA
 
YAHIN GHUT GHUT KE MARNE KO RAHI MAJBOOR HAR KHWAAHISH
HAMAARI ZAAT KE CHAARON TARAF WAHSHAT KA GHERA THA
 
UROOSI SHAAM KA DIL BHI YAQEENAN PAARA PAARA THA
SHAFAQ NE AASMAA.N KE RUKH PE KHOON E DIL BIKHERA THA
 
HAZAARON KOSHISHO.N SE BHI KOI TEH TAK NAHIN PAHONCHA
NA JAANE KITNI PARTO.N MEN CHHUPA KIRDAAR MERA THA
 
MILE TO HAM KAI LOGO.N SE LEKIN DIL NA MIL PAAYA
MERI DHADKAN PE JO LIKKHA THA WO IK NAAM TERA THA
 
BHATAKTE JUSTJU MEN PHIRTE HAIN 'MUMTAZ' HAM DAR DAR
NA JAANE KAUN SI DUNIYA MEN MANZIL KA BASERA THA
************************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 337