donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* FANA HUIN WO HASRATE.N WO DARD KHO CHUKA ASAR *
FANA HUIN WO HASRATE.N WO DARD KHO CHUKA ASAR
MOHABBATO.N KE DEVTA NA AB MUJHE TALAASH KAR
 
BHATAK RAHI HAI GUFTGU SAMAA'ATEN HAIN MUNTSHAR
NA JAANE KIS KI KHOJ MEN HAI LAMHA LAMHA DAR BA DAR
 
YE KHILWATE.N, YE TEERGI, YE SHAB HAI TERI HAMSAFAR
IN AARZI KHAYAALON KE LARAZTE SAAYON SE NA DAR
 
HAYAAT E BEPANAAH PE HAR IK ILAAJ BE ASAR
HAIN WAJD ME.N ALAALATEN PARESHA.N HAAL CHAARAGAR
 
BANA HAI KIS KHAMEER SE ANAA KA QEEMTI QAFAS
TADAP RAHI HAIN RAAHTE.N ASEER HAIN DIL O NAZAR
 
PADI HAI MUNH CHHUPAAE AB HAR EK TASHNA AARZOO
TO JUSTJU BHI THAK GAI TAMAAM HO GAYA SAFAR
 
TALAATUM IS QADAR UTHA ZAMEEN E DIL LARAZ UTHI
SHADEED THA YE ZALZALA HAYAAT HI GAI BIKHAR
 
HAR EK ZARB E WAQT SE NIGAARISHEN NIKHAR GAI.N
HAR EK PAL NE DAALE HAIN NISHAAN APNE ZAAT PAR
 
BAS EK HAM HAI.N AUR EK TANHA TANHA RAAH HAI
GUZAR GAYA WO KAARWAA.N BICHHAD GAE WO HAMSAFAR
******************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 310