donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* HAWAS HAR LAMHAA BADHTI JAATI HAI AB GHAM FANAAON KI *
HAWAS HAR LAMHAA BADHTI JAATI HAI AB GHAM FANAAON KI
BAHAARON KE LAHOO SE PYAS BUJHTI HAI KHIZAAON KI
 
MERI GUFTAAR KI QEEMAT CHUKAANI TO PADI MUJH KO
KHAMOSHI BHI TO TERI MUSTAHAQ THEHRI SAZAAON KI
 
KOI AAWAAZ AB KAANON MEN DAAKHIL HI NAHIN HOTI
SAMAA'AT AB TALAK TAALIB HAI TERI HI SADAAON KI
 
MUQADDAR KI YE TAARIKI SAFAR YE TERI YAADON KA
CHAMAK UTHTI HAIN RAAHEN ROSHNI SE AABLAAON KI
 
YE MARZ E LAADAVAA TO AB QAZA KE SAATH JAAEGA
MAREEZ E ZINDGI KO AB ZAROORAT HAI DUAAON KI
 
MAIN HUN MAAYUS RAAHON SE TO RAAHEN SAR BA SAJDA HAIN
KE MANZIL CHOOMTI HAI DHOOL BADH KE MERE PAAON KI
 
KADAKTI DHOOP KO HAM NE KIYA HAI SAAYBAA.N APNA
KISE HOGI ZAROORAT AYE SHAJAR AB TERI CHHAAON KI
 
HAMEN 'MUMTAZ' AB RAAS AA GAI AAKHIR YE MEHROOMI
NAZAR AB HAM UTAARA KARTE HAIN APNI BALAAON KI
*******************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 406