donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* FURSAT HAI KISE, DEKHE KISI YAAR KE AANSOO *
FURSAT HAI KISE, DEKHE KISI YAAR KE AANSOO
DEKHO, NA BAHAAYA KARO BEKAAR KE AANSOO
 
IS DAUR E TARAQQI MEN YE RAFTAAR KE AANSOO
DEKHE HAIN KABHI TUM NE? KISI GHAAR KE AANSOO
 
GHAAZE KI TARAH SAJTE HAIN RUKHSAAR KE AANSOO
QATIL SE KAHO PONCHHE NA TALWAAR KE AANSOO
 
IS TOOT'TE RISHTEY KI KHALISH KIS SE CHHUPI THI
LEHJE MEN NAZAR AAEY THEY GUFTAAR KE AANSOO
 
CHIDIYON NE TO GHAR CHHODA THA PARWAAZ KI DHUN MEN
PATTON PE JAME REH GAEY ASHJAAR KE AANSOO
 
TAPTA HAI TAMANNA KA LAHOO AATISH E DIL MEN
TAB HOTE HAIN AARAASTA ASH'AAR KE AANSOO
 
YE ZAKHMEE KHANDAR GUMSHUDA TEHZEEB KI LAASHEN
BIKHRE HAIN HAR IK ZARRE MEN ADWAAR KE AANSOO
 
KHAATE HAIN GHAREEBI JO SEHER MEN TO, YE BACHCHE
MAGHRIB KO PIYA KARTE HAIN IFTAAR KE AANSOO
 
ROTI KE LIYE GIRTE CHALE AATE HAIN KAB SE
DAAMAN PE MASHEENON KE YE AUZAAR KE AANSOO
 
HAR LAFZ CHAMAKTA HAI FAN O FIKR KI ZAU SE
'MUMTAZ' AYAAN HOTE HAIN ANWAAR KE AANSOO
************************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 405