donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* AISA JAMOOD ROOH PE TAARI HUA KE BAS *
AISA JAMOOD ROOH PE TAARI HUA KE BAS
KUCHH YUN CHALI BAHAAR MEN THANDI HAWA KE BAS
 
GHABRA KE IBTEDA HI MEN KYUN KEH DIYA KE BAS
"KUCHH AUR BHI SUNOGE MERA MAAJRA KE BAS"
 
HAM TO KISI SITAM KA GILA BHI NA KAR SAKE
KUCHH IS TARAH SE US NE KAHA MUDDA'AA KE BAS
 
JASHN E QAZAA E MEHR E MUNAWWAR THA SHAM KO
AISI CHAMK RAHI THI UROOSI QABAA KE BAS
 
MAJBOORIYON KA KOH E GARAA.N TODTE HUE
AISE HUE SHIKASTA MERE DAST O PAA KE BAS
 
GIR KAR BALANDIYON SE ZAMEE.N PAR BIKHAR GAEY
TOOTA KHUMAAR E ZAAT TO AISA LAGA KE BAS
 
US KI INAAYATEN BHI AZAABON SE KAM NA THIN
WO INTEHAA KHULOOS KI KEHNA PADA KE BAS
 
AISE TADAP KE TOOTA ANAA KA GHUROOR BHI
DIL MEN WO DARD AB KE TO KUCHH YUN UTHA KE BAS
 
RANGEENI E FAREB E MOHABBAT NA POOCHHIYE
LAB NE KAHA KE SHUKRIYA DIL NE KAHA KE BAS
 
IK SILSILA SARAAB KA AUR TASHNAKAAM HAM
'MUMTAZ' WO HAYAAT KE KARB O BALAA KE BAS
******************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 308