donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* DILON KE AAINE TUKDON MEN BAT GAE AAKHIR *
DILON KE AAINE TUKDON MEN BAT GAE AAKHIR
HAM APNI APNI ANAA MEN SIMAT GAE AAKHIR
 
 
KAHIN MILA NA KOI JAB NISHAAN MANZIL KA
TO AADHI RAAH SE WAAPAS PALAT GAE AAKHIR
 
 
TO FAISLA BHI MUQADDAR KA KAR DIYA US NE
GUMAAN KE SABHI BAADAL BHI CHHAT GAE AAKHIR
 
 
SAMAA SAKA NA ZEHN MEN GHUBAAR THA ITNA
KOI TO ZABT KI HAD THI KE PHAT GAE AAKHIR
 
 
KHUSHI KI AAKHIRI MANZIL BHI PAAR HO HI GAI
GHUBAAR SE WO SABHI KHWAAB AT GAE AAKHIR
 
 
GUZAR KE AAE HAIN MAAZI KE KHANDARON SE ABHI
KE HAM SE YAADON KE SAAE LIPAT GAE AAKHIR
 
 
ZAMEE.N ABHI BHI BAHOT KAM HAI NAFRATON KE LIYE
WAFAA KE SAARE SAMANDAR BHI PAT GAE AAKHIR
 
 
CHALO TUMHARI KHUSHI HAI TO AAJ YE BHI SAHI
TUMHARI RAAH SE HAM AAJ HAT GAE AAKHIR
 
 
BHARAM JO TOOTA ANAA KA TO YE NATEEJA HUA
HAM APNE AAP SE 'MUMTAZ' KAT GAE AAKHIR
********************8
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 331