donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* PEHLE DIL ZAKHMEE THA AB ROOH TALAK ZAKHMI HAI *
ZINDAGI MERE LIYE HO GAI BOHTAA.N JAANA.N
MUJH PE KITNA HAI BADA YE TERA EHSAA.N JAANA.N
 
 
PEHLE DIL ZAKHMEE THA AB ROOH TALAK ZAKHMI HAI
TU NE KYA KHOOB KIYA HAI MERA DARMAA.N JAANA.N
 
 
TERE VAADE TERI QASME.N TERI ULAFAT TERA DIL
AB HAQEEQAT HAI MERE WAASTE URIYAA.N JAANA.N
 
 
IS KAHAANI MEN MERE KHOON KI MAHEK SHAAMIL THI
AUR TERA NAAM THA AFSAANE KA UNWAA.N JAANA.N
 
 
DIL PE IK ABR SA CHHAYA THA NA JAANE KAB SE
AAJ TO TOOT KE BARSAA HAI YE BARAA.N JAANA.N
 
 
IK WAHI BAAT JO KAANON MEN KAHI THI TU NE
DIL ABHI TAK HAI USI BAAT KA KHWAAHA.N JAANA.N
 
 
AB TO TAA DOOR KAHIN KOI NAHIN RAAH E FARAAR
KHOL DE AB TO MERE PAANV SE JAULAA.N JAANA.N
 
 
BAAD AZ IS KE BAHOT TANG HAI JEENA LEKIN
FAISLA TARK E TA'ALLUQ KA HAI AASA.N JAANA.N
 
 
AB YAHAN AA KE JUDA HOTI HAIN RAAHE.N APNI
AB QARAABAT KA NAHIN KOI BHI IMKAA.N JAANA.N
 
 
ISHQ MEN AB WO JUNOO.N MAANA KE NAAYAB HUA
AB YE SHAY DUNIYA MEN 'MUMTAZ' HAI ARZAA.N JAANA.N
**********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 348