donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* DHADAKNE KE LIYE DIL KO TERA EHSAAS KAAFI HAI *
DHADAKNE KE LIYE DIL KO TERA EHSAAS KAAFI HAI
MERE JEENE KO TERE PYAR KI MEERAAS KAAFI HAI
 
 
MOHABBAT KUCHH ADAAWAT KUCHH ZARA SI BADGUMAANI BHI
MUJHE KHUSHIYON SE KYA LENA YAHI IK YAAS KAAFI HAI
 
 
KAMI KOI NA HO TO HASRATEN VEERAAN HO JAAEN
GHINA KA MOL TAY KARNE KO BAS IFLAAS KAAFI HAI
 
 
TARAB KA KHOON KARNE KO BAHOT HAI TERA GHAM JAANA.N
JIGAR KO KAATNE KO EK HI ALMAAS KAAFI HAI
 
 
JINHEN TAKMEEL KARNE MEN GUZAR JAAEN KAI SADIYAAN
TAMANNAON KI WO DAULAT HAMAARE PAAS KAAFI HAI
 
 
BAHEL JAAEGA DIL UMMEED KE RANGEE.N KHILONE SE
KABHI BADLEGI QISMAT BHI YAHI IK YAAS KAAFI HAI
 
 
TUMHARI BEWAFAAI, MERA GHAM, 'MUMTAZ' MAIN TANHA
KHATAKTI HAI JO DIL MEN AAJ TAK IK PHAANS KAAFI HAI
*********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 352