* Dil toota toh woh bhi Abhi tukdon mein bata hai *
Dil toota toh woh bhi Abhi tukdon mein bata hai
Ik shaks meri zaat ke ander Jo basa hai
Ik shor sa har gosha-e-dil mein Jo macha hai
Shayad mere ander kahin kuchh toot Gaya hai
Jisme hai mahak Teri Tera naam likha hai
Har ek qadam par woh nisha mujhko dikha hai
Deta hai har ik lamha mujhe ek azeeat
Aye ajnabi tu kaun hai kya naam Tera hai
Lauta mera maazi toh kahan dhundega mujhko
Ab dil mein shab-o-roz yeh dhadka sa laga hai
Yeh amr kisi ek ke bas ka toh nahi tha
Tu bhi hai gunahgaar toh meri bhi khata hai
Har zarb mein ik lay hai toh nagma hai tadap mein
Is tees mein is dard mein kuch aur maza hai
Himmat se samandar mein bhi ban jati hai rahein
Tadbeer se taqdeer ka likhkha bhi tala hai
Khamoshi yeh meri mera iqraar nahi hai
Shikve toh Kai hai pa mera dahen sila hai
Ab bhi na agar Lauta toh kho dega mujhe woh
Ab tak toh mera baab-e-tamanna bhi Khula hai
Yeh lay yeh ravani yeh tajalli yeh hararat
'mumtaz' meri zaat mein shola sa jala hai
******************* |