donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* JAL UTHA SAARA WAJOOD AUR GAI KHAAK BIKHAR *
JAL UTHA SAARA WAJOOD AUR GAI KHAAK BIKHAR
MERE AANGAN MEN WO KHURSHEED JO AAYA THA UTAR
 
AQL KHAAMOSH HAI BEENAAI NE DAM TOD DIYA
IK KHALAA SIRF KHALA BIKHRA HAI TAA HAD E NAZAR
 
JAB TAKHAYYUL PE BAHAR AANE LAGE YAADON KI
MERI NAMNAAK NIGAAHON MEN KHIZAA.N JAAE THEHER
 
DIL KE DAAMAN MEN KAHAN TAK MAIN SAMETUN TUJH KO
PHIR SIMAT BHI NA SAKE YAAR TU AISE NA BIKHAR
 
ZINDAGI LAAI MUJHE AAJ YE KIS MANZIL PE
AAE JAATE HAIN MERE ZER E QADAM SHAMS O QAMAR
 
FAASLA GHAT'TA NAHIN RAAH KE KAM HOTI NAHIN
HOTA JAATA HAI TAWEEL AUR TAMANNA KA SAFAR
 
KIS TALAATUM KI SIYAAHI SE LIKHI THI TU NE
AAJ TAK PADTE RAHE HAIN MERI QISMAT MEN BHANWAR
 
MAIN NE KAB TUJH SE KAHA THA KE TIJAARAT HAI GUNAAH
AB SAARE AAM TO JAZBAAT KO NEELAAM NA KAR
 
KHOON SE SEENCHA HAI HASRAT SE SANWAARA HAI ISE
KITNA 'MUMTAZ' HAI YE MERI TABAAHI KA SAMAR
*********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 353