donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* MUJH MEN KYA TERE TASAWWAR KE SIWA REH JAAEGA *
MUJH MEN KYA TERE TASAWWAR KE SIWA REH JAAEGA
SARD SA IK RANG PHAILA JAA BA JAA REH JAAEGA
 
KAR TO LOON TARK E MOHABBAT LEKIN US KE BAAD BHI
KUCHH ADHOORI KHWAAHISHON KA SILSILA REH JAAEGA
 
KAARWAAN TO KHO HI JAAEGA GHUBAAR E RAAH MEN
DOOR TAK PHAILA HUA IK RAASTA REH JAAEGA
 
TOOT JAAENGI UMMEEDEN PAST HONGE HAUSLE
EK TANHA AADMI BE DAST O PAA REH JAAEGA
 
MAIN AGAR APNI KHAMOSHI KO ATAA KAR DOON ZUBAA.N
HAIRATON KE DAAIRON MEN TU GHIRA REH JAAEGA
 
RUT BHI BADLEGI BAHAAREN AA BHI JAAENGI MAGAR
IS KHIZAA.N KA RAAZ CHEHRE PE LIKHA REH JAAEGA
 
HAAFIZE SE NAQSH YUN HI MIT'TE JAAENGE AGAR
DOOR TAK NAZRON MEN IK DASHT E BALAA REH JAAEGA
 
APNA SAB KUCHH KHO KE PAAYA HAI TUJHE 'MUMTAZ' NE
KHO GAYA TU BHI AGAR TO AUR KYA REH JAAEGA
******************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 358