donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* TEZTAR HOTI HAI AB KHWAABON KI KIRCHON KI CHUBHAN *
TEZTAR HOTI HAI AB KHWAABON KI KIRCHON KI CHUBHAN
 
 
BADHTI JAATI HAI MERI JAAGTI AANKHON KI JALAN
 
 
JEENE MARNE KI ADAA HAI NA MOHABBAT KA CHALAN
 
 
MIT CHALI AAJ ZAMAANE SE HAR IK RASM E KOHAN
 
 
 
 
 
KHATM HOTA HI NAHIN AB KE JUDAAI KA SAFAR
 
 
SO GAI ODH KE HAR AARZOO YAADON KA KAFAN

 
DIL HAI MASHOOR TASAWWAR PE BHI QAABU NA RAHA
 
 
KITNA DILKASH HAI YE JAZBAAT KA BESHAKHTAPAN

 
KOI IFKAAR KA PAIKAR HAI TASAWWAR HAI NA KHWAAB
 
 
LAG GAYA HAI MERI TAKHEEL KO YE KAISA GAHAN
 
 
SAAMNE MANZIL E MAQSOOD HAI KYA KIJE MAGAR
 
 
RAASTA ROK RAHI HAI MERE PAAON KI THAKAN
 
 
BEHISI AISI KE TAARI HAI KHAYAALON PE JAMOOD
 
 
ROOH MEN UTRI HAI YE SARD HAWAAON KI GALAN
 
YUN TO SAB MILTA HAI INSAAN NAHIN MILTA FAQAT
 
MAR GAI RASM E WAFAA SOOKH GAIN GANG O JAMAN
 
GIR PADE APNE HI SAAE PE TADAP KAR HAM BHI
 
CHUBH GAI TALWON MEN 'MUMTAZ' JO RAAHON KI TAPAN
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 398