donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* APNA TO KUCHH BHI MUJH KO NA MERA ATAAI DE *
APNA TO KUCHH BHI MUJH KO NA MERA ATAAI DE
GHAR PHOONKNE KO AAG BHI DE TO PARAAI DE
 
AB KE THAHER GAI HAI MERI ZINDAGI MEN RAAT
ZULMATKADE MEN RAAH BHI KAISE SUJHAAI DE
 
YUN BEKHUDI MEN MIT GAYA EHSAAS E DARD BHI
MERA JUNOON ZAKHM BHI MUJH KO HINAAI DE
 
MAIN NE KUCHAL DIYA HAI HAR IK AARZOO KA PHAN
AB MUJH KO DIL KI CHEEKH NE NAGHMA SUNAAI DE
 
WAHSHAT SI AB TO HONE LAGI HAI HAYAAT SE
MUJH KO KABHI IJAAZAT E MUSHKILKUSHAAI DE
 
TAKRA KE LAUT AATI HAI HAR BAAR ARSH SE
MERI DUAAON KO BHI KABHI TO RASAAI DE
 
CHEEKHON SE SHE'R DHAALEGI 'MUMTAZ' KAB TALAK
AB TO SUKHAN KI QAID SE MUJH KO RIHAAI DE
********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 374