donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* KABHI TO HOGA US PAR BHI ASAR AAHISTA AAHISTA *
KABHI TO HOGA US PAR BHI ASAR AAHISTA AAHISTA
TULOO HOGI ANDHERE SE SAHER AAHISTA AAHISTA
 
HAMAARI BEKHUDI JAANE KAHAN LE JAAE AB HAM KO
KIDHAR JAANA THA CHAL NIKLE KIDHAR AAHISTA AAHISTA
 
LAGI HAI KHAAK UDNE AB ZAMEEN E DIL MEN SEHRA HAI
LAGE HAIN SOOKHNE SAB BEHR O BAR AAHISTA AAHISTA
 
UBHARTA HAI NIYAAZ E SHAUQ AB TO BENIYAAZI SE
DUA JAANE LAGI HAI ARSH PAR AAHISTA AAHISTA
 
MOHABBAT AB MUSALSAL DARD MEN TABDEEL HOTI HAI
BANA JAATA HAI SHO'LA IK SHARAR AAHISTA AAHISTA
 
CHALA LE TEER JITNE TERE TARKASH MEN HAIN AYE QAATIL
MERE SEENE PE LEKIN WAAR KAR AAHISTA AAHISTA
 
DIYA HAI PARWARISH KE WAASTE IS KI LAHOO APNA
YE PAUDA BAN HI JAAEGA SHAJAR AAHISTA AAHISTA
 
SAFAR KARTE HAIN PAIHAM HAM MAGAR MANZIL NAHIN MILTI
"KE HARKAT TEZTAR HAI AUR SAFAR AAHISTA AAHISTA"
 
AGAR HAI JUSTJU TUJH KO MOHABBAT KE KHAZAANE KI
KABHI 'MUMTAZ' DHADKAN MEN UTAR AAHISTA AAHISTA
*******************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 404