donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* MERE SAFEENE KO TOOFAA.N KI NAZAR E KARAM NE DEKH LIYA *
MERE SAFEENE KO TOOFAA.N KI NAZAR E KARAM NE DEKH LIYA
CHHUPTE PHIRE HAM LAAKH MAGAR MAUJ E BARHAM NE DEKH LIYA
 
UMDAA THA MALBOOS BHI AUR ALFAAZ MEN BHI AARAAISH THI
JO THA PAS E PARDA BADCHEHRA WO BHI HAM NE DEKH LIYA
 
SHOR MACHAATA SANNATA THA JAA.NLEWA KHAAMOSHI THI
KAISE BATAAEN KAUN SA MANZAR US IK DAM NE DEKH LIYA
 
DOOR TALAK HAR PED BARAHNA PATTON KA RUKH ZARD HUA
KYUN ITNA VEERAAN HAI AAKHIR KYA MAUSAM NE DEKH LIYA
 
AUR BHI NAZREN TEDHI KAR LIN IN PECHEEDA RAAHON NE
MERI THAKAN KA HAAL ZARA RAAHON KE KHAM NE DEKH LIYA
 
DEHSHAT KE IS KHEL MEN AAKHIR KHOON KE BADLE KYA PAYAA
AB TO DARINDAA BAN KAR BHI NASL E AADAM NE DEKH LIYA
 
DAFN THA DIL KI GEHRAAI MEN JAZBON KA WO RAAZ KAHIN
HAM NE CHHUPAAYA LAAKH MAGAR ZEHN E MOHKAM NE DEKH LIYA
 
FAASID HO GAI SAARI IBAADAT AAJ MERA EEMAAN GAYA
HAM KO KIS 'MUMTAZ' NAZAR SE AAJ SANAM NE DEKH LIYA
*********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 329